dress less man Admin
Posts : 88 Join date : 2010-02-08 Age : 26
| Subject: funny poetry Tue Mar 30, 2010 4:16 am | |
| Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri,zindagi bomb sai ho mehfoz khudaya meri! Main jo daftar k liye ghar se nikal ker jaon,Roz marrah ki tarha khair se wapas aaon! Na koi bomb k dhamakay se uradaye mujh ko,muft main jaam-e-shahadat na pila de mujh ko! Jo uraa day mujhay khudkash to duain donga,bay wazu hokay chacha bush ko duain donga ! Biwi bachon ko meri jan ki qeemat mil jai,bethe bethe mere ghr walon ko dolat mil jye! Hain jin logon se kal tak thee watan ki zenat,aaj woh log hoay qabar-o-kafan ki zenat ! Ghar mera hogaya viranay ki soorut yarab,Aur badli na kisi thanay ki soorat yaarab ! In pe jaaiz hai zabardasti hukumat karna,Aur hai jurm mujhey apne hifazat karna! Rozi hum sub ki bacha roz ki hartalon saiJan aur maal ho mefoz police walon sai! Jub na schol khulain gay to perhain gay kaisay,Aur zinda na rahain gay to barhain gay kaisay | |
|